Saturday, February 11, 2006

my indulgence into poetry

Sawaal

Ek kavita likhne ki hai tamanna aaj

Isi soch ki jwala mein hai jalna aaj



Karna kya hai zindagi mein nahi kuch bhi padta maloom

Kiye jaayen jo karte hain, ya ki chalan apne kadmon ka hai badalna aaj



Aisa kyon hai ki har subha liye khadi hai ek sawaal mere saamne

Pherloon muh in sawaalon se, ya inhi ke bhanwar mein hai utarna aaj



Sawaalon ke is van se lagta hai milegi ek raah nayi

Us sunahare sawere ki chahat mein, is andhere ko hai nigalna aaj

**********************************************************************



Ek ajab si khushi

Ek ajab si khushi hui mehsoos mere dil mein

Aaya nazar mujhe ek dost, mere katil mein



Jab likhe insaan taqdeer apne haathon se

Tab rank bhi hota hai raja apni mehfil mein



Dole nayya kitni hi beech majhdhaar mein

Doobti nahi kabhi bhi kashti sahil mein



Agar hota hai ghayal insaan nazron ke teer se

Jaal kya hai aisa phir hothon ke til mein

***************************************************************


Lahron ke saath bahe to kya kiya ?

Sirf Phoolon se khele to kya kiya ?



Is bhari duniyan mein lekar janm


Bas apne hi liye jiye to kya kiya ?




Chalte rahe rahi bane har rah par


Na rah koi banayi nai to kya kiya ?
kitni hi mushkilein aaye rahon mein 
Hosla gar khoya to kya kiya ?



Tags

Followers