Jitni karoon koshish ise samjhne ki utni hi zyaada ulajhti jaati hai
Us bartan ki tarah jisme se jitna nikalo utni hi phir bhar aati hai
Kya samay sabke liye samaan hai ki judwa bhai hamesha rahen hum umr
Ya rahe jawaan wo, jiski umr kirnon ki gati se safar karke aati hai
Kiranon ki nadiyan behti hain ya ki kanche hain ye bachchon ke
Hai kitni adbhut ye kirnen ki hamen dono hi roopon se rijhaati hai
Hotin ye gar kisi ek tarah ki to na jaane jeevan kaisa hota
Na hota savera jaisa hai, aur na hoti jaisi unnati hai
Gar hota aasaan ek sansaar se jaana doosre sansaar mein
To uthate lutf us sangeet ka jo wahan ki koyal gaati hai
Rahega naam sada jeevit “einstein” tera in sabhi sansaaron mein
Hogi tulna un logon mein gaatha jinki sunahare aksharon mein likhi jaati hai
No comments:
Post a Comment