Friday, May 05, 2006

paise ka aakarshan

paisa bhi kaisa chumbak hai sabko apni aor aakarshit karta
chota bada gareeb ameer sab ko apne aagosh mein bharta
barabari ka hai ye ek behtareen zariya
jitna ho jiske paas utna hi badhiya

aisi trishna jo kabhi na bhujhe
jiski bujhe uski antim shayya saje
aisa akarshan ki manushya lagaye nirantar iske chakkar
na hota ye suraj to manushya rehta mrit, jeevit reh kar

hai ye atoot bandhan, chahe ek tarfa hi sahi
hai sachcha pyar yehi jisme dhokha hi nahi
jitna zyaada jiske paas utna hi use aur mile
utna hi wo aur phale uski bagiya aur khile

iski bhashaa har jagah smaan
amrika,britan ya hindustan
bhin bhin vastron mein dikhti
apne aakar se sabko lubhati

phat jaaye to jod ke chale
bheeg jaye phir bhi na gale
jhuriyon se bhi na umr dhale
kisi ko bhi na kabhi ye khale

janm se mrityu tak hai jiski zaroorat
ho jiske paas lage wohi khoobsoorat
hai ye manushya ki hi paidaish
par hai kaise nahi iski koi khwahish

3 comments:

Amitabh said...

Raghu, did you write this?
I liked it...though did not find it lyrical enough (which is kind of obvious, given its a poem and now a bhajan).....

Bibliophile said...

Amitabh,
Yeah, I wrote that. I know it is not very lyrical, I intentionally wrote like that. You will find some more poems down below which would be more lyrical.

Anonymous said...

Amazing Poetry, I will do the artwork for your poems

Tags

Followers